No flash player!

It looks like you don't have flash player installed. Click here to go to Macromedia download page.

Live Naat Shareef,Bayanat Of Ulmae AhleSunnat On Every Sunday 1PM TO 4 PM

Saturday, June 12, 2010

Hadees Shareef


KHAANE PEENE KE ADAAB WA SUNNAT

HADEES:Sahi Muslim Shareef Me Huzaifa Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Marvi Ki Rasulullah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Farmaya Ki Jis Khane Per Bismillah Na Padhi Jaye Shaitan Ke Liye Wah Khana Halal Ho Jata Hai Yaani Bismillah Na Padhne Ki Surat Me Shaitan Us Khane Me Sarik Ho Jata Hai.

HADEES:Sahi Muslim Me Jaabir Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Marvi Hai Ke Huzure Akdas Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Koi Shakhs Makaan Me Aaya Aur Daakhil Hote Waqt Aur Khate Waqt Usne Bismillah Padh Li To Shaitan Apni Awlaad Se Kehta Hai Ki Is Ghar Me Na Tumhe Rehna Milega Na Khana Aur Agar Daakhil Hote Waqt Bismillah Na Padhi To Kehta Hai Ab Tumhe Rehne Ki Jagah Mil Gayi Aur Khane Ke Waqt Bhi Bismillah Na Padhi To Kehta Hai Ki Rehne Ki Jagah Bhi Mili Aur Khana Bhi Mila.


CHUGALI AUR GEEBAT KA BYAAN


HADEES:HUZUR ALAIHISSLAATU WASSLAAM ne FARMAAYA ki ALLAH TA'ALA ke BAHUT BURE BANDE wah hai JO LOGON mein CHUGALI KHAATE PHIRATE hai aur DOSTON ke DARMIYAAN JUDAAI DAALATE hai.
[AHMED,BAIHIQI,ANWAARUL HADEES]




No comments:

Post a Comment

Ahle Sunnat Ki Pehchaan Maslake Aalahazrat Zindabaad

Ahle Sunnat Ki Pehchaan Maslake Aalahazrat Zindabaad